Mere Bharat Ki Dharati Par - Brahma Kumaris Songs Lyrics


Mere bharat ki dharati par
chhaya maya ka saya hai
mere bharat ki dharati par
chhaya maya ka saya hai
ab naya savera lane ko
bharat me shiv aya hai
ab naya savera lane ko
bharat me shiv aya hai
mere bharat ki dharati par

tum chhodo panch vikaro ko
ab uth ke gyan ka snan karo
tum chhodo panch vikaro ko
ab uth ke gyan ka snan karo
sangam ki pavan bela me
fir bharat utthan karo
jago mere bharat vasi
jago mere bharat vasi
shiv tumhe jagane aye he
ab naya savera lane ko
bharat me shiv aya hai
mere bharat ki dharati par

maya me chhaye bharat ko
shiv ne aa lalkara he
maya me chhaye bharat ko
shiv ne aa lalkara he
aaj deh bhan karo gyan dan
ab yahi hamara nara he
bas yaad karo pratipal usako
jo paramdham se aya he
ab naya savera lane ko
bharat me shiv aya hai
mere bharat ki dharati par

jago he dev pujari tumhe
ab khudako dev bana na he
jago he dev pujari tumhe
ab khudako dev bana na he
pavan bankar yog lagakar
uch dev pad pana he
de do usako tan man jisane
tum sab ko apnaya he
ab naya savera lane ko
bharat me shiv aya he
bharat me shiv aya he
bharat me shiv aya he


0 comments:

Post a Comment

 
Top