Sadgun Avgun Ke Karan Koi Hira He Koi Patthar Hai - Brahma Kumaris Songs Lyrics

Sadgun avgun ke karan koi hira he koi Patthar hai
sadgun avgun ke karan koi hira he koi Patthar hai
dharati par swarg basa lena wo manav tuj par nirbhar hai

tu dip se dip jalata chal tu sabko gale lagata chal
tu prem ekata shanti saty sahayog ke ratn lutata chal
gun hi gun bhare pade tujme antar tera ratnakar hai
sadgun avgun ke karan koi hira he koi Patthar hai
sadgun avgun ke karan koi hira he koi Patthar hai

nadi na apna jal piti he ped na apna fal khate
par upkar ke liye hi ham ye anamol janam pate
jo par dukh ko apna mane wo manav dev se badhkar hai
sadgun avgun ke karan koi hira he koi Patthar hai
sadgun avgun ke karan koi hira he koi Patthar hai

dharati par swarg basa lena wo manav tuj par nirbhar hai
sadgun avgun ke karan koi hira he koi Patthar hai
sadgun avgun ke karan koi hira he koi Patthar hai
koi hira he koi Patthar hai
koi hira he koi Patthar hai

0 comments:

Post a Comment

Top