Tan Ek Mandir Ho Mann Ek Darpan Ho - Brahma Kumaris Songs Lyrics
Tan ek mandir ho mann ek darpan ho
har aacharan hamara pavan pavan ho
prabhu ne ham bacho se yahi kaha
sab se badi punji he pavitrata
prabhu ne ham bacho se yahi kaha
sab se badi punji he pavitrata
param pita ne pavitrata ki aisi raah dikhai
aisi raah dikhai
jis par chalkar jivan banta mangal mai sukh dai
mangal mai sukh dai
mukh par divy ujala ho ankho me gnan ka anjan
prem ke moti ki mala ho maryada ka kangan
charitr nirmal ho or chhabi ujaval ho
saiyam hi sab ke jivan ka smbal ho
brahma ke shreemukh se yahi suna
sab se badi punji he pavitrata
brahma ke shreemukh se yahi suna
sab se badi punji he pavitrata
pavitrata ki is punji ko karke jatan sambhalo
karke jatan sambhalo
shreshth kram kar apne ko manav se dev bana lo
manav se dev bana lo
sab ho saral swbhavi vani me sahejata ho
divy guno ka taj sabake sar par sajata ho
drishti me shital ta hraday me dhiraj ho
jag me rahe yu ham yu jal me niraj ho
maheka maheka mann ho khila khila
sab se badi punji he pavitrata
maheka maheka mann ho khila khila
sab se badi punji he pavitrata
tan ek mandir ho mann ek darpan ho
har aacharan hamara pavan pavan ho
prabhu ne ham bacho se yahi kaha
sab se badi punji he pavitrata
prabhu ne ham bacho se yahi kaha
sab se badi punji he pavitrata
0 comments:
Post a Comment