Lagi Tapsya Ki Agni - Brahma Kumaris Songs Lyrics
Lagi tapsya ki agni aur jali yog ki jvala
jivan angan me suchita ka hone laga ujala
lagi tapsya ki agni
atma suddhi ki agni pariksha ki ghadiya he aai
vyrth vikalpo ki bimari lene lagi virai
vismrut hone lagi purani duniya daihik bhan
hone lage prayog yog ke nit nav anusandhan
is tap se hi swrinimyug tej nikhar ne vala
jivan angan me suchita ka hone laga ujala
lagi tapsya ki agni
mann ki gati par huaa niyantrn sanskar parishodhan
shiv se karata dat swyam ka karate nij sanshodhan
chintan laga chamak ne chitaki chanchalta tume lai
nirbalta par niramlata ne vijayshree he pai
vah tapasya tera anubhav rasbhi bada nirala
jivan angan me suchitaka hone laga ujala
lagi tapsya ki agni
atal tapasya yahi he jisase sare vidhan talege
bhavbhay bandh mitege mepan ke sab asthi galege
panch tatv parivartan hoge nijko jab batlege
sukshm fariste hasate gate pyare vatan chlege
wo dekho is tapke bal se satyug anevala
jivan angan me suchitaka hone laga ujala
lagi tapsya ki agni
0 comments:
Post a Comment