Me Aatma Hu Meri Shakti - Brahma Kumaris Songs Lyrics


Me aatma hu me aatma hu
meri shakti ya mann buddhi sanskar
me aatma hu me aatma hu me aatma hu
jyoti se ghar me he prakash
jaha nahi dharati aakash
jyoti sagar ka prakash hu
me aatma hu me aatma hu me aatma hu

muj me bhara he gyan bhandar
aadi madhy aur ant ka saar
gyan ke sagar ka pegam hu
me aatma hu me aatma hu me aatma hu

shanti rup me karu vishram
ghar mera he shanti dham
shanti sagar ki santan hu
me aatma hu me aatma hu me aatma hu

anand me jhumu gau
atindriy sukh me pau
param anand ka khajana hu
me aatma hu me aatma hu me aatma hu

prem rog mera nyara
pita prem sagar pyara
sneh ke ratano ki khan hu
me aatma hu me aatma hu me aatma hu

pavitrata me mai sartaj
mere ghar me pavan raj
pavan pita ki mai aan hu
me aatma hu me aatma hu me aatma hu

shakti bhara har gun mera
shakti bhare ghar me basera
shakti sagar ki pahechan hu
me aatma hu me aatma hu me aatma hu

mujme bhare he gun apar
gun sagar ne kiya shringar
guno ka me karti dan hu
me aatma hu me aatma hu me aatma hu
me aatma hu me aatma hu me aatma hu


0 comments:

Post a Comment

 
Top