Ye Sabse Suhane Pal He Jindagi Ke - Brahma Kumaris Songs Lyrics


Ye sabse suhane pal he jindagi ke
milan sindhu me jab samaye huve hai
samaye huve hai
jamana to kya teri yaado me bhagavan
ye tanman bhi apna bhulaye huve hai
bhulaye huve hai
ye sabse suhane pal he jindagi ke

gagan jhuk gaya vkat bhi thehara thehara
jhmi bhi ye jaisi jami rahegai hai
ruhani sama dekhte dekhte ye
ankhe khuli ki khuli rahe gai hai
drishti se srushti badal kar
hamari sitaro se daman sajaye huve hai
sajaye huve hai
ye sabse suhane pal he jindagi ke

ghadi ye badi sau baras ki umar se
hote nihal tere jab najar se
ye jadu nahi to bhala or kya hai
ki milate udhar ham gujar te jidhar se
ham kho gaye he nayan me tumhare
jo chitako hamare churaye huve hai
churaye huve hai
ye sabse suhane pal he jindagi ke

sitaro se age ye kaisa jaha hai
bahut dur tak roshani roshani hai
ye pariyo ki nagari faristo ki duniya
anokhi yaha chandani chandani hai
kabhi kano me gunjati he muraliya
kabhi samane jaise aaye huve hai
aaye huve hai

ye sabse suhane pal he jindagi ke
milan sindhu me jab samaye huve hai
samaye huve hai
jamana to kya tere yaado me bhavan
ye tanman bhi apna bhulaye huve hai
bhulaye huve hai
ye sabse suhane pal he jindagi ke


0 comments:

Post a Comment

 
Top