Bhagvan Tumhara Gyan Simarkar - Brahma Kumaris Songs Lyrics


Bhagvan tumhara gyan simarkar
Man behad harshata hai
Aanand magan aatam panchhi
Aanand magan aatam panchhi
Ambar me kahi khoja ta hai
Bhagvan tumhara gyan simarkar

Ye param gyan abtak na padha
Na likha gaya hai kitabo me
Bhagvan padhayenge sammukh
Socha na dekha khabo me
Prabhu milan ka ye pyara anubhav
Prabhu milan ka ye pyara anubhav
Shabdo me kaha nahi jata
Bhagvan tumhara gyan simarkar

Sagar ki laher laherati hai
Murli ki mithi taano me
Ye indradhnus ke rango se
Bhrti hai umange prano me
Tan sihar sihar man machl machl
Tan sihar sihar man machl machl
Har pal tere gun gata hai
Bhagvan tumhara gyan simarkar

Anmol vachan ye madhur kathan
Pavan pavan man bhavan hai
Vishvas chamakta jivan me
Man aagan me sukh savan hai
Aakho me lakho chaman khile
Aakho me lakho chaman khile
Khushbu se jaha bhar jata hai
Bhagvan tumhara gyan simarkar
Man behad harshata hai

Aanand magan aatam panchhi
Aanand magan aatam panchhi
Ambar me kahi khoja ta hai
Bhagvan tumhara gyan simarkar


0 comments:

Post a Comment

 
Top