Samay Ka Panchi Unata Jaye - Brahma Kumaris Songs Lyrics
Titli jesi udati firti svpanlok ki pariya
pavan dhavan paridhan pahene
chamak rahi ful jariya
shiv baba ka pyar bhara sandesh ye sab ko sunati he
tal tal par zum zum kar
git suhana gati hai
samay ka panchi udta jaye
sab ko ye paigam sunaye
samay ka panchi udta jaye
sab ko ye paigam sunaye
har pal ki jo kimat samaje
har pal ki jo kimat samaje apna jivan safal banaye
unata jaye
safal banaye
mann chaha fal pana he to sunale sara jamana
mann chaha fal pana he to sunale sara jamana
kabhi nahi bekar lutana ye anmol khajana
kabhi nahi bekar lutana ye anmol khajana
aalas chhode ruke nahi jo
vahi to apni manjil paye
unata jaye
safal banaye
andhkar khud mitjayega tum prakash felao
andhkar khud mitjayega tum prakash felao
jab tak sas nahi rukti he karm kehi gun gao
jab tak sas nahi rukti he karm kehi gun gao
jo karna he abhi karo tum gaya vkat fir hath na aye
unata jaye
safal banaye
samay ka panchi udta jaye
sab ko ye paigam sunaye
har pal ki jo kimat samaje
har pal ki jo kimat samaje apna jivan safal banaye
unata jaye
safal banaye
unata jaye
safal banaye
0 comments:
Post a Comment